hañso na tum ruḳh-e-dushman jo zard hai yaaro
kisī kā dard ho apnā hī dard hai yaaro
diloñ se shikva-e-bāham ko duur karne meñ
lagegā vaqt ki barsoñ kī gard hai yaaro
ham ahl-e-shahr kī fitrat se ḳhuub vāqif hai
vo ik ġharīb jo sahrā-navard hai yaaro
jahāñ mata-e-hunar kī ḳharīd hotī thī
bahut dinoñ se vo bāzār sard hai yaaro
ajab nahīñ ki bayābāñ ke hoñT tar ho jaa.eñ
fazā meñ aaj samundar kī gard hai yaaro
ḳhatā kisī se huī ho koī bhī mujrim ho
javāb-dah to yahāñ fard fard hai yaaro
ḳhayāl-e-sūd na adnesha-e-ziyāñ koī
'shamīm' bhī koī āzād mard hai yaaro