Shamim Karhani

fasla to hai magar koi fasla nahin

Shamim Karhani

Karhan, Uttar pradesh, India

1913-1975
fāsla to hai magar koī fāsla nahīñ
mujh se tum judā sahī dil se tum judā nahīñ
kārvān-e-ārzū is taraf na ruḳh kare
un kī rahguzar hai dil aam rāsta nahīñ
ik shikast-e-ā.īna ban ga.ī hai sāneha
TuuT jaa.e dil agar koī hādsa nahīñ
aa.iye charāġh-e-dil aaj hī jalā.eñ ham
kaisī kal havā chale koī jāntā nahīñ
āsmāñ kī fikr kyā āsmāñ ḳhafā sahī
aap ye batā.iye aap to ḳhafā nahīñ
kis liye 'shamīm' se itnī bad-gumāniyāñ
mil ke dekhiye kabhī aadmī burā nahīñ
Top Urdushayar.com