ġham do aalam kā jo miltā hai to ġham hotā hai
ki ye baada bhī mire zarf se kam hotā hai
kab mirī shām-e-tamannā ko milegā ai dost
vo saverā jo tirā naqsh-e-qadam hotā hai
be-ḳhabar phuul ko bhī khīñch ke patthar pe na maar
ki dil-e-sañg meñ ḳhvābīda sanam hotā hai
haa.e vo mahviyat-e-dīd kā aalam jis vaqt
apnī palkoñ kā jhapaknā bhī sitam hotā hai
ġham huā kartā hai āġhāz meñ apnā lekin
vahī baḌhtā hai to har ek kā ġham hotā hai
ishq kar detā hai jab aañkh pe jaadū to 'shamīm'
dair hotā hai nazar meñ na haram hotā hai