hamīñ the aise sar-phire hamīñ the aise manchale
ki tere ġham kī raat meñ charāġh kī tarah jale
mile koī to phir maze na zindagī ke pūchhiye
kaTe jo raat dair meñ to mai-kade meñ din Dhale
khilī huī har ik kalī mahak rahī hai shāḳh par
to kuchh udaas phuul bhī paḌe haiñ shāḳh ke tale
is anjuman ko kyā huā na raushnī na zindagī
charāġh o gul jale bujhe dimāġh o dil mile dale
ye baat talḳh hai magar ye baat guftanī bhī hai
ki zāhidān-e-ḳhud-nigar se rind-e-bā-safā bhale
ġhurūb-e-āftāb par sitāre muskurā.e haiñ
ki ik diyā bujhā to kyā hazār-hā diye jale
'shamīm' manzil-e-talab qadam ko aa ke chuum le
agar qadam ko joḌ kar tamām kārvāñ chale