chaman chaman jo ye sub.h-e-bahār kī zau hai
tire tabassum-e-rañgīñ kā ek partav hai
ḳhizāñ kī raat ke qātil kahāñ ga.e dekheñ
ki jo lahū hai charāġh-e-bahār kī lau hai
chale na saath zamāna to is ko yuuñ kahiye
Thahar gayā hai musāfir ki jāda-e-nau hai
bujhā hai dil to na samjho ki bujh gayā ġham bhī
ki ab charāġh ke badle charāġh kī lau hai
mirī zamīñ pe jabīn-e-araq-araq ke sivā
na qatra-e-mai-e-rañgīñ na dāna-e-jau hai
savāl vaqt kī parchhā.iyoñ se ham bhī kareñ
hamāre dil meñ bhī halkā sā ek partav hai
kaTe jo tīrgi-e-shām-e-ġham to kaise 'shamīm'
ḳhafā ḳhafā sī kisī ke ḳhayāl kī zau hai