Ejaz Siddiqi

nur ki kiran us se KHud nikalti rahti hai

Ejaz Siddiqi

Agra, Uttar pradesh, India

1913-1978
nuur kī kiran us se ḳhud nikaltī rahtī hai
vaqt kaTtā rahtā hai raat Dhaltī rahtī hai
aur zikr kyā kiije apne dil kī hālat kā
kuchh bigaḌtī rahtī hai kuchh sambhaltī rahtī hai
zehn ubhār detā hai naqsh haal o maazī ke
in dinoñ tabī.at kuchh yuuñ bahaltī rahtī hai
tah-nashīn maujeñ to pur-sukūn rahtī haiñ
aur sat.h-e-dariyā kī mauj uchhaltī rahtī hai
chāhe apne ġham kī ho yā ġham-e-zamāna kī
baat to bahar-sūrat kuchh nikaltī rahtī hai
zindagī hai naam us kā tāzgī hai kaam us kā
ek mauj-e-ḳhūñ dil se jo ubaltī rahtī hai
kaif bhī hai mastī bhī zahr bhī hai amrit bhī
vo jo jām-e-sāqī se roz Dhaltī rahtī hai
aaj bhī burī kyā hai kal bhī ye burī kyā thī
is kā naam duniyā hai ye badaltī rahtī hai
hotī hai vo sheroñ meñ mun.akis kabhī 'ejāz'
muddatoñ ghuTan sī jo dil meñ paltī rahtī hai
Top Urdushayar.com