galī galī hai añdherā to mere saath chalo
tumheñ ḳhayāl hai merā to mere saath chalo
maiñ jā rahā huuñ ujāloñ kī justujū ke liye
satā rahā ho añdherā to mere saath chalo
junūñ ke dasht meñ ik chhāvnī basā leñge
nahīñ hai koī baserā to mere saath chalo
maiñ rāhzan huuñ magar āshnā-e-manzil-e-dil
jo rāhbar hai luTerā to mere saath chalo
qadam qadam pe jalātā chalūñgā dil ke charāġh
jo rāsta hai añdherā to mere saath chalo
agar chaman se ziyāda pasand hai tum ko
ġharīb-e-dasht kā Derā to mere saath chalo
'shamīm' zulmat-e-daurāñ se jañg hai darpesh
jo chāhtā ho saverā to mere saath chalo