guloñ pe sāya-e-ġham-hā-e-rozgār mile
bharī bahār ke chehre bhī sogvār mile
sajā de un ke garebāñ ko maah o anjum se
hamāre dast-e-junūñ ko jo iḳhtiyār mile
hazār daaġh uThā kar chaman khilātī hai
kahīñ zamīñ ko jo ahl-e-zamīñ kā pyaar mile
hamāre paas hai kyā daulat-e-junūñ ke sivā
nisār chaak garebāñ agar bahār mile
ye vāqi.a hai ki nāseh kī zid meñ baat baḌhī
jo ek baar na milte vo bār-bār mile
mizha ke ashk tamannā ke zaḳhm yaad ke phuul
ka.ī charāġh sar-e-shām-e-intizār mile
sahar se dair o haram par jo bahas karte haiñ
vo mai-kade meñ sar-e-shām ham-kanār mile
ham apne chehra-e-fan kā nikhār kyā dekheñ
ki ā.īne bhī to ālūda-e-ġhubār mile
sunīñ to ābla-pā.ī kī dāstāñ lekin
kahāñ 'shamīm' sā āshufta-e-bahār mile