ḳhamosh kis liye baiThe ho chashm-e-tar kyuuñ ho
koī ḳhafā ho kisī se to is qadar kyuuñ ho
nazar kī pyaas bujhā do jo ik nigāh se tum
to har nazāre se rusvā mirī nazar kyuuñ ho
junūñ kī jāda-tarāshī hai bāñkpan merā
ye rahguzār-e-jahāñ apnī rahguzar kyuuñ ho
girā thā jaam na TuuTā thā koī ā.īna
shikast-e-dil kī bhalā aap ko ḳhabar kyuuñ ho
rafīq tā-ba sahar hai sitāra-e-shab-e-ġham
ye bevafā sā ujālā bhī ham-safar kyuuñ ho
kabhī na rūThne vaale bhī ruuTh jaate haiñ
ye baat pyaar meñ hotī to hai magar kyuuñ ho
ġham-e-zamīñ se yahāñ fursat-e-nazāra kise
galī meñ tum bhī chale aao baam par kyuuñ ho
shab-e-firāq hī achchhī koī ummīd to hai
baġhair un ke sahar ho to phir sahar kyuuñ ho
vo sher saada sahī sun ke dil bhar aa.e 'shamīm'
jo pur-ḳhulūs ho lahja to be-asar kyuuñ ho