junūñ to hai magar aao junūñ meñ kho jaa.eñ
kisī ko apnā banā.eñ kisī ke ho jaa.eñ
jigar ke daaġh koī kam haiñ raushnī ke liye
maiñ jāgtā huuñ sitāroñ se kah do so jaa.eñ
tulū-e-sub.h ġham-e-zindagī ko zid ye hai
ki mere ḳhvāb ke lamhe ġhurūb ho jaa.eñ
ye sogvār safīna bhī rah ke kyā hogā
use bhī aa ke mire nāḳhudā Dubo jaa.eñ
sadī sadī ke ujāloñ se baat hotī hai
tire ḳhayāl ke maazī meñ kyuuñ na kho jaa.eñ
ham ahl-e-dard chaman meñ isī liye aa.e
ki āñsuoñ se zamīn-e-chaman bhigo jaa.eñ
kisī kī yaad meñ āñkheñ haiñ DabDabā.ī huī
'shamīm' bhiig chalī raat aao so jaa.eñ