Shamim Karhani

yun tere mast sar-e-rah chala karte hain

Shamim Karhani

Karhan, Uttar pradesh, India

1913-1975
yuuñ tire mast sar-e-rāh chalā karte haiñ
jaise shāhān-e-falak-e-jāh chalā karte haiñ
ġham-e-duniyā ġham-e-jānāñ ġham-e-manzil ġham-e-rāh
kitne ġham ziist ke hamrāh chalā karte haiñ
dil bhī kyā rāhguzar hai ki hamesha jis meñ
zohra-o-mustarī-o-māh chalā karte haiñ
ye to rindoñ kī galī hai idhar ai shaiḳh kahāñ
aisī rāhoñ meñ to gumrāh chalā karte haiñ
ġham-e-daurāñ kī kaḌī dhuup meñ chalne vaale
ba-tamannā-e-shab-e-māh chalā karte haiñ
ham ko chalnā hai jo gulshan meñ to is tarah chaleñ
jaise gulshan ke havā-ḳhvāh chalā karte haiñ
yād-e-māzī ġham-e-imroz umīd-e-fardā
kitne saa.e mire hamrāh chalā karte haiñ
vādī-e-dil hai qadam soch ke rakhnā ki 'shamīm'
tez is raah meñ nāgāh chalā karte haiñ
Top Urdushayar.com