jo mil ga.ī haiñ nigāheñ kabhī nigāhoñ se
guzar ga.ī hai mohabbat hasīn rāhoñ se
charāġh jal ke agar bujh gayā to kyā hogā
mujhe na dekh mohabbat bharī nigāhoñ se
balā-kashoñ kī añdherī galī ko kyā jaane
vo zindagī jo guzartī hai shāh-rāhoñ se
laboñ pe mohr-e-ḳhamoshī lagā.ī jā.egī
diloñ kī baat kahī jā.egī nigāhoñ se
idhar kahā ki na chhūTe savāb kā jaada
udhar sajā bhī diyā raah ko gunāhoñ se
fazā-e-mai-kada-e-dil-kushā meñ aa.ī hai
hayāt ghuT ke jo niklī hai ḳhānqāhoñ se
mirī nazar kā taqāzā kuchh aur thā ai dost
milā na kuchh mah o anjum kī jalva-gāhoñ se
ḳhizāñ kī vādi-e-ġhurbat guzār leñ to 'shamīm'
mileñ dayār-e-bahārāñ ke kaj-kulāhoñ se