hujūm-e-dard meñ ḳhandāñ hai kaun mere sivā
harīf-e-gardish-e-daurāñ hai kaun mere sivā
davā-e-dil ke liye apne paas aayā huuñ
ki mere dard kā darmāñ hai kaun mere sivā
ye ham-safar to chaman tak ke ham-safar Thahre
mirā rafīq-e-bayābāñ hai kaun mere sivā
sitāra-e-shab-e-ġham kis pe muskurā.eñge
fareb-ḳhūrda-e-paimāñ hai kaun mere sivā
vo aadmī hī to insāniyat kā dushman hai
jo kah rahā hai ki insāñ hai kaun mere sivā
pukārtī haiñ mujhī ko tamām zanjīreñ
zabān-e-halqa-e-zindāñ hai kaun mere sivā
mirā pata to kisī gul se pūchh lo ki 'shamīm'
chaman meñ chāk-garebāñ hai kaun mere sivā