chaman lahak ke rah gayā ghaTā machal ke rah ga.ī
tire baġhair zindagī kī rut badal ke rah ga.ī
ḳhayāl un ke saath saath der tak chalā kiyā
nazar to un ke saath thoḌī duur chal ke rah ga.ī
vo ik nigāh-e-mehr-bāñ kā iltifāt-e-muḳhtasar
andhere ghar meñ jaise koī sham.a jal ke rah ga.ī
kahāñ chaman kī sub.h meñ chaman kā husn-e-nīm-shab
kañval bikhar ke rah ga.e kalī masal ke rah ga.ī
jalā.ī thī to jo do diloñ ne ik hasīn raat meñ
vo sham.a ab bhī hai javāñ vo raat Dhal ke rah ga.ī
chaman kā pyaar mil sakā na dasht kī bahār ko
kalī bikas ke rah ga.ī sabā machal ke rah ga.ī
vo merā dil thā jo parā.ī aag meñ jalā kiyā
vo sham.a thī jo apnī aañch meñ pighal ke rah ga.ī
har ek jāñ-gudāz ġham kā mā-hasal yahī rahā
ki ġham ke mashġhaloñ meñ zindagī bahal ke rah ga.ī
'shamīm' un kī ik jhalak bhī tā sahar na mil sakī
nigāh-e-shauq karvaTeñ badal badal ke rah ga.ī