Shamim Karhani

un ka wada badal gaya hai

Shamim Karhani

Karhan, Uttar pradesh, India

1913-1975
un kā vaada badal gayā hai
fardā aañsū meñ Dhal gayā hai
tanhā.ī se kuchh huī haiñ bāteñ
tanhā.ī se dil bahal gayā hai
māmūl-e-nazar vahī hai lekin
mafhūm-e-nazar badal gayā hai
ruk jā ai kārvān-e-imroz
maazī merā kuchal gayā hai
sāhil pe nigāh aañkh vaalo
andhā tūfāñ machal gayā hai
sāġhar meñ sharāb hai ki yaaro
añgāra koī pighal gayā hai
kis shoḳh nigāh kā tasavvur
ruḳhsāroñ pe rañg mal gayā hai
uTThegā zarūr ik na ik din
fitna filhāl Tal gayā hai
saaqī tire mai-kade meñ aa kar
insān zarā sambhal gayā hai
dekhā ai inqilāb tujh ko
tasvīr kā ruḳh badal gayā hai
maġhrib ke ufuq pe hai tabassum
sūraj mashriq meñ Dhal gayā hai
vo aa.e haiñ yaad shām-e-hasrat
yā koī charāġh jal gayā hai
manzil pe 'shamīm' ko na paayā
shāyad aage nikal gayā hai
Top Urdushayar.com