samjhe hai mafhūm nazar kā dil kā ishāra jaane hai
ham tum chup haiñ lekin duniyā haal hamārā jaane hai
halkī havā ke ik jhoñke meñ kaise kaise phuul gire
gulshan ke gul-posh na jāneñ gulshan saarā jaane hai
sham-e-tamannā pichhle pahar tak dard kā aañsū ban hī ga.ī
shaam kā taarā kaise Duubā sub.h kā taarā jaane hai
kyā kyā haiñ ā.īn-e-tamāshā kyā kyā haiñ ādāb-e-nazar
chashm-e-havas ye sab kyā jaane vo to nazāra jaane hai
apne 'shamīm'-e-rusvā ko tum jaano ho anjān koī
bastī saarī pahchāne hai sahrā saarā jaane hai