hosh-o-ḳhirad se duur huuñ sūd-o-ziyāñ se duur
dīvāna huuñ quyūd-e-rusūm-e-jahāñ se duur
hadd-e-nazar se duur zamān-o-makāñ se duur
manzil hai mere ishq kī fahm-o-gumāñ se duur
rañgīnī-e-jamāl se sahrā bhī hai chaman
baiThā huuñ gulsitāñ meñ magar gulsitāñ se duur
ye be-ḳhudī-e-shauq kā aalam to dekhiye
sajde to kar rahā huuñ magar āstāñ se duur
dil bhī vahī hai maiñ bhī vahī dard bhī vahī
lekin ye kyā ki lazzat-e-soz-e-nihāñ se duur
shāyad usī kā naam hai nākāmī-e-murād
manzil se huuñ qarīb magar kārvāñ se duur
afsāna-e-hayāt ko samjho to ai 'sabā'
har harf dāstāñ hai magar dāstāñ se duur