Saba Afghani

gulshan ki faqat phulon se nahin kanTon se bhi zinat hoti hai

Saba Afghani

Rampur, Uttar pradesh, India

1922-1986
gulshan kī faqat phūloñ se nahīñ kāñToñ se bhī zīnat hotī hai
jiine ke liye is duniyā meñ ġham kī bhī zarūrat hotī hai
har shām-o-sahar qurbāñ jis par duniyā-e-masarrat hotī hai
vo paikar-e-rāhat kyā jaane kaisī shab-e-furqat hotī hai
ai vā.iz-e-nādān kartā hai tū ek qayāmat kā charchā
yaañ roz nigāheñ miltī haiñ yaañ roz qayāmat hotī hai
karnā hī paḌegā zabt-e-alam piine hī paḌeñge ye aañsū
fariyād-o-fuġhāñ se ai nādāñ tauhīn-e-mohabbat hotī hai
vo pursish-e-ġham ko aa.e haiñ kuchh kah na sakūñ chup rah na sakūñ
ḳhāmosh rahūñ to mushkil hai kah duuñ to shikāyat hotī hai
ai dost judā.ī meñ terī kuchh aise bhī lamhe aate haiñ
sejoñ pe bhī taḌpā kartā huuñ kāñToñ pe bhī rāhat hotī hai
jo aa ke ruke dāman pe 'sabā' vo ashk nahīñ hai paanī hai
jo ashk na chhalke āñkhoñ se us ashk kī qīmat hotī hai
Top Urdushayar.com