Saba Afghani

samne un ko paya to hum kho gae aaj phir hasrat-e-guftugu rah gai

Saba Afghani

Rampur, Uttar pradesh, India

1922-1986
sāmne un ko paayā to ham kho ga.e aaj phir hasrat-e-guftugū rah ga.ī
un se kahnā thā rūdād-e-shām-e-alam dil kī dil hī meñ ye aarzū rah ga.ī
ġham ke sāñche meñ ik ik nafas Dhal gayā un kī mahfil meñ ye daur bhī chal gayā
ashk piine se maanā ki dil jal gayā zabt-e-ġham kī magar aabrū rah ga.ī
tere naqsh-e-qadam bhī mile jā-ba-jā terī mahfil tirā āstāñ bhī milā
haañ magar tū kisī ko nahīñ mil sakā ho ke nākām har justujū rah ga.ī
dil meñ dāġhoñ kā jab se hai ik gulistāñ chhin ga.ī haiñ bahāroñ se rañgīniyāñ
ab guloñ meñ vo pahlī sī nik.hat kahāñ aarzī raunaq-e-rañg-o-bū rah ga.ī
naaz thā ham ko jin par unhīñ kī qasam vo bhī ulfat meñ nikle na sābit-qadam
be-kasī ke añdhere meñ ai shām-e-ġham ek ham rah ga.e ek tū rah ga.ī
allāh allāh tire husn kī ik jhalak raushnī ho ga.ī az-zamīñ-tā-falak
ek bijlī sī lahrā.ī kuchh duur tak phir Thahar kar mire rū-ba-rū rah ga.ī
aañkh se aañkh aur dil se dil jab milā jaane un kī nigāhoñ ne kyā kar diyā
merī āñkhoñ meñ us roz se ai 'sabā' khiñch ke tasvīr-e-jām-o-subū rah ga.ī
Top Urdushayar.com