raaz hai bahut gahrā baat ik zarā sī hai
vo maiñ sāmne phir bhī chashm-e-shauq pyāsī hai
zindagī bhī barham hai maut bhī ḳhafā sī hai
āj-kal to donoñ meñ aap kī udāsī hai
apnī anjuman se ham ye kahāñ chale aa.e
har taraf añdherā hai har taraf udāsī hai
dāġh-e-dil ko raushan kar ġham kī raat hai lambī
sham.a kā bharosa kyā mah bhī bevafā sī hai
aap hazrat-e-vā.is pahle ḳhud ko pahchāneñ
kyūñki ḳhud-shanāsī hī vaj.h-e-haq-shanāsī hai
jaam is liye apnā āñsuoñ se bhartā huuñ
jis nazar se piitā thā aaj vo bhī pyāsī hai
yuuñ to hijr kī rāteñ roz hī guzartī haiñ
aaj ai 'sabā' lekin sub.h se udāsī hai