bhuul jaanā thā to phir apnā banāyā kyuuñ thā
tum ne ulfat kā yaqīñ mujh ko dilāyā kyuuñ thā
ek bhaTke hue raahī ko sahārā de kar
jhūTī manzil kā nishāñ tum ne dikhāyā kyuuñ thā
ḳhud hī tūfān uThānā thā mohabbat meñ agar
Dūbne se mirī kashtī ko bachāyā kyuuñ thā
jis kī ta.abīr ab ashkoñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
ḳhvāb aisā merī āñkhoñ ko dikhāyā kyuuñ thā
apne anjām pe ab kyuuñ ho pashemān 'sabā'
ek bedard se dil tum ne lagāyā kyuuñ thā