Mushtaq Anjum

yaad to aae kai chehre har ek gam ke baad

Mushtaq Anjum

Howrah, West Bengal, India

1955
yaad to aa.e ka.ī chehre har ik gaam ke ba.ad
koī bhī naam kahāñ aayā tire naam ke ba.ad
dasht-o-dariyā meñ kabhī gulshan-e-sahrā meñ kabhī
maiñ rahā mahv-e-safar ik tire paiġhām ke ba.ad
gāmzan rāh-e-junūñ par haiñ to phir sochnā kyā
kisī anjām se pahle kisī anjām ke ba.ad
dil kā har kaam faqat us kī nazar kartī hai
naam aatā hai magar merā har ilzām ke ba.ad
merī be-tābī-e-dil merā muqaddar Thahrī
shab-e-ālām se pahle shab-e-ālām ke ba.ad
kaam letā hai mujhī se vo musībat meñ sadā
bhuul jaatā hai magar mujh ko mire kaam ke ba.ad
bārhā us ne mirā naam miTāyā 'anjum'
ro paḌā phir vo har ik baar isī kaam ke ba.ad
Top Urdushayar.com