ashk palkoñ pe jo aa.eñ to chhupā.e na bane
TuuT kar bikhreñ ye motī to uThā.e na bane
qahr hai apne liye soz-e-darūñ kā aalam
dekhnā gar koī chāhe to dikhā.e na bane
kis tarah haath uThā.ūñ maiñ duā kī ḳhātir
haath ik pal bhī to siine se haTā.e na bane
qissa-e-hasrat-e-dil ham se bayāñ kyā hogā
be-ruḳhī un kī hai aisī ki batā.e na bane
zulm ko zulm samajhtā hai kahāñ vo zālim
hāl-e-dil apnā sitamgar ko sunā.e na bane
kaun sī baat thī kyā tarz-e-adā thī 'anjum'
naqsh aisā huā dil par ki miTā.e na bane