nahīñ mumkin ki tire hukm se bāhar maiñ huuñ
ai sanam tābe-e-farmān-e-muqaddar maiñ huuñ
dil to hairān hai kyuuñ shashdar-o-muztar maiñ huuñ
ishq kahtā hai ki us parde ke andar maiñ huuñ
pairav-e-silsila-e-zulf-e-muambar maiñ huuñ
tauq se uzr na zanjīr se bāhar maiñ huuñ
āb-rū-e-sadaf o zīnat-e-gosh-e-mahbūb
durr-e-nāyāb jo sunte ho vo gauhar maiñ huuñ
ab subuk-dosh maiñ huuñ bojh gale kā Tal jaa.e
teġh-e-qātil se ilāhī kaheñ be-sar maiñ huuñ
tā.er-e-qibla-numā kā hai ishāra mujh se
naama pahuñchāne ko pardār kabūtar maiñ huuñ
aa.ī phir fasl-e-bahārī madad ai josh-e-junūñ
do qadam chal nahīñ saktā huuñ vo lāġhar maiñ huuñ
nutq kahtā hai ki iisā mirā dam bhartā hai
dahan-e-yār ko da.avā hai ki kausar maiñ huuñ
jaadū bar-haq hai to kāfir hai ayaañ rā-che-bayāñ
terā maarā huā ai chashm-e-fusūñ-gar maiñ huuñ
mohtasib ko bhī hidāyat karūñ mai-noshī kī
vā.izā terī jagah gar sar-e-mimbar maiñ huuñ
na unheñ merī shikāyat na mujhe un kā gila
na kudūrat unheñ mujh se na mukaddar maiñ huuñ
hairat-e-husn se ik sakta kā aalam dekhā
ā.īna muñh ko tire taktā hai shashdar maiñ huuñ
daur-e-farhād gayā ye hai zamāna merā
be-sutūñ ab to uThā.e hue sar par maiñ huuñ
āj-kal husn-e-javānī pe jo hai un ko ġhurūr
naaz kahtā hai ki andāz se bāhar maiñ huuñ
barq o sīmāb kā 'āġhā' na rahe nām-o-nishāñ
dil kī betābī se ik baar jo muztar maiñ huuñ