Mushtaq Anjum

qahqahe ki maut hai ya maut ki aawaz hai

Mushtaq Anjum

Howrah, West Bengal, India

1955
qahqahe kī maut hai yā maut kī āvāz hai
siskiyāñ letā huā ab zindagī kā saaz hai
ek saaya laḌkhaḌātā aa rahā hai is taraf
dekhiye to ik haqīqat sochiye tū raaz hai
ret meñ muñh Daal kar sāñsoñ kā us kā roknā
chand sikkoñ ke liye bachcha baḌā jāñbāz hai
soch kī manzil kahīñ hai aur āñkheñ haiñ kahīñ
jāntā huuñ kis meñ kitnī quvvat-e-parvāz hai
de rahā vo dilāse kyuuñ jafā karne ke ba.ad
chāhtā hai mujh se kyā kaisā mirā hamrāz hai
kis tarah hogā bayāñ hāl-e-dil-e-bīmār ab
āsmāñ barham hai aur ḳhāmosh chārasāz hai
daur aayā hai ajab 'anjum' yahāñ hoshyār-bāsh
zaaġh hai maḳhdūm aur ḳhādim yahāñ shahbāz hai
Top Urdushayar.com