us kī āñkhoñ meñ hayā aur ishāra bhī hai
band hoñToñ se mujhe is ne pukārā bhī hai
us ne kāñdhe pe hamāre jo kabhī sar rakkhā
yuuñ lagā ziist meñ koī to hamārā bhī hai
riit bhī garm hai aur dhuup bhī hai tez magar
us kī pur-kaif rifāqat kā sahārā bhī hai
chuum kar haath mirā detā hai vo dil ko kasak
kaisā dushman hai ki jo jaan se pyārā bhī hai
us ke ruḳhsār pe bārish kī vo halkī būñdeñ
phuul par qatra-e-shabnam kā nazārā bhī hai
itnā itrānā bhī kuchh Thiik nahīñ yaad rahe
ziist meñ naf.a bhī hai aur ḳhasārā bhī hai
tairtā jaatā huuñ aur soch rahā huuñ 'anjum'
is samundar kā kahīñ koī kinārā bhī hai