naav TuuTī huī biphrā huā dariyā dekhā
ahl-e-himmat ne magar phir bhī kinārā dekhā
garche har chiiz yahāñ ham ne burī hī dekhī
phir bhī kahnā paḌā jo dekhā so achchhā dekhā
diip se diip jalāne kī huī rasm tamām
ham ne insān kā insān se jalnā dekhā
jab se bachche ne khilaune se bahalnā chhoḌā
das baras meñ hī use tiis ke sin kā dekhā
rā.ij-ul-vaqt haiñ bāzār meñ khoTe sikke
jo khare haiñ unheñ hote hue rusvā dekhā
hosh meñ ā.eñge arbāb-e-vatan kab 'anjum'
maiñ ne har-gām pe kashmīr kā ḳhitta dekhā