Mushtaq Anjum

sham-e-gham se shab-e-andoh se chashm-e-tar se

Mushtaq Anjum

Howrah, West Bengal, India

1955
shām-e-ġham se shab-e-andoh se chashm-e-tar se
baaz aayā maiñ tirī yaad ke us lashkar se
yaañ shab-o-roz hai matlab kise ḳhair-o-shar se
zindagī kā hai ajab silsila sīm-o-zar se
jo tujhe chāhā batānā na batāyā phir bhī
kab chhupā hāl-e-dil-e-soḳhta nāma-bar se
ba.ad-e-takmīl huī ghar kī haqīqat ma.alūm
ghar kahāñ bantā hai dīvār se chhat se dar se
mehrbānoñ meñ tirā naam to likkhā hai magar
ḳhuub vāqif huuñ mirī jaan tire tevar se
sar bachātā huuñ to phir paañv nikal jaate haiñ
aib iflās kā chhuptā hī nahīñ chādar se
hirs kī dauḌ se rahtā huuñ alag ai 'anjum'
faiz pahuñchā hai mujhe dars-e-gah-e'qaisar' se
Top Urdushayar.com