Mushtaq Anjum

sabhi to hain magar ab mehrban kahan hai koi

Mushtaq Anjum

Howrah, West Bengal, India

1955
sabhī to haiñ magar ab mehrbāñ kahāñ hai koī
nazar meñ pyaar liye darmiyāñ kahāñ hai koī
ik apnā sar hī nahīñ dil bhī maiñ jhukā dūñgā
magar batāo zarā āstāñ kahāñ hai koī
sitamgarī kī hadeñ us ne toḌ Daalī haiñ
hamārī tarah magar be-zabāñ kahāñ hai koī
kabhī to puure shajar par thā apnā kāshāna
hamāre naam kā ab āshiyāñ kahāñ hai koī
tumhārī apnī hī kashtī Dubo na de tum ko
havā hai tez magar bādbāñ kahāñ hai koī
hamāre paañv tale kī zamīn khīñchte ho
hamāre ba.ad tumhārā jahāñ kahāñ hai koī
karoge ġhaur to 'anjum' samajh meñ aa.egā
zamīñ hai chāroñ taraf āsmāñ kahāñ hai koī
Top Urdushayar.com