chamak kaisī ruḳh-r-anvār meñ hai
zamāna saarā hī asrār meñ hai
lagā.eñ apne fan-pāroñ kī qīmat
ki ab har chiiz hī bāzār meñ hai
ka.ī āñkheñ gaḌhī jaatī haiñ mujh meñ
koī rauzan dar-o-dīvār meñ hai
rahā huuñ muntazir jis kā azal se
vahī chehra mire afkār meñ hai
nahīñ pahlā sā ab rañg-e-bahārāñ
ki vīrānī gul-o-gulzār meñ hai
hadīs dil bayāñ kaise ho 'āsī'
mujhe mushkil bahut iz.hār meñ hai