dushman ke irādoñ kī ḳhabar hai ki nahīñ hai
hālāt pe kuchh terī nazar hai ki nahīñ hai
dekho to shab-e-tār ke maare hue logo
jo shaam hai pāband-e-sahar hai ki nahīñ hai
jis samt tumheñ le ke chalī andhī aqīdat
us samt koī rāhguzar hai ki nahīñ
kī aur añdhere ne mirī tez basārat
mamnūn manāzir kī nazar hai ki nahīñ hai
ye dekh le tū ḳhvāhish-e-dastār se pahle
'āsī' tire kāñdhe pe bhī sar hai ki nahīñ hai