shikast azmat-e-pindār le ke aa.e haiñ
ham apnī ruuh sar-e-dār le ke aa.e haiñ
bharosā TūTtā jaatā hai nā-ḳhudāoñ kā
safīne ke liye patvār le ke aa.e haiñ
ham is ke baad tumheñ mīThī niiñd bhī deñge
abhī to dīda-e-bedār le ke aa.e haiñ
safar meñ saa.e kī shāyad kahīñ zarūrat ho
ham apne kāñdhe pe dīvār le ke aa.e haiñ
vo dostī to nahīñ dostoñ kī fitrat hai
mire liye jo mire yaar le ke aa.e haiñ
chhurī baġhal meñ dabā.e hue haiñ vo 'āsī'
jo apne haath meñ kuchh haar le ke aa.e haiñ