Aagha Akbarabadi

daur saghar ka chale saqi dobara ek aur

Aagha Akbarabadi

daur sāġhar chale saaqī dobārā ek aur

abr ka.aba se uThā hai maan kahnā ek aur

jhūmtā aatā hai vo bādal TukḌā ek aur

sāqiyā bhar kar pilā de jām-e-sahbā ek aur

din ko jo kuchh tum ne dekhā ye to thī sab dil-lagī

shab ko rah jaao to dikhlā.eñ tamāshā ek aur

maiñ unheñ kahtā huuñ tum bedard ho nā-āshnā

vo lagāte haiñ mujhe ilzām ulTā ek aur

dil ko nafrat ho ga.ī nazroñ se āḳhir gir ga.e

tum se behtar apnī ā.ankhoñ meñ samāyā ek aur

kyuuñ sisaktā chhoḌe jaate ho mujhe maqtal meñ tum

faisla kar duuñ maiñ qurbāñ de ke charkā ek aur

tere aane meñ tavaqquf jab huā ai nāma-bar

ḳhat unheñ bechain ho kar ham ne likkhā ek aur

band mahram ke khule kuchh be-hijābī ho chukī

vo bhī ab uTh jaa.e jo baaqī hai pardā ek aur

dost dushman ho ga.e yāroñ ne āñkheñ pher liiñ

rah gayā hai aap mujh ko bharosā ek aur

vasl shab meñ kiyā murġh-e-sahar band-o-bast

na.ara-e-allāhu-akbar hai dhaḌkā ek aur

ho chukā zikr-e-dahan vasf-e-kamar likhte haiñ ham

daam meñ sayyād ke phañstā hai anqā ek aur

said kasrat se 'āġhā' ban paḌī sayyād

do ne gar paa.ī rihā.ī aa ke uljhā ek aur

Top Urdushayar.com