Nadeem ahmad

meri nazar ko dar-o-baam par lagaya hua hai

Nadeem ahmad

Kolkata, West Bengal, India

1979
mirī nazar ko dar-o-bām par lagāyā huā hai
chalo kisī ne mujhe kaam par lagāyā huā hai
vo aur hoñge jo sahrā meñ pā-ba-jaulāñ haiñ
mujhe to shahr ne ahkām par lagāyā huā hai
agar vo aayā to is baar sub.h mānūñgā
bahut dinoñ se mujhe shaam par lagāyā huā hai
kabhī to lagtā hai ye uzr-e-lañg hai varna
mujhe to kufr ne islām par lagāyā huā hai
vo aur log haiñ jo us ke paas baiThe haiñ
hameñ to us ne kisī kaam par lagāyā huā hai
Top Urdushayar.com