ḳhaak atrāf meñ uḌtī hai bahut paanī de
is masāfat ko bhī ek ḳhitta-e-bārānī de
kuchh dinoñ dasht bhī ābād huā chāhtā hai
kuchh dinoñ ke liye ab shahr ko vīrānī de
yā mujhe mamlikat-e-ishq kī shāhī se navāz
yā mujhe phir se vahī be-sar-o-sāmānī de
merī dānā.ī ne rakkhā na kahīñ kā mujh ko
mere maulā tū mujhe phir vahī nādānī de
ab kahānī ko bhī uljhā zarā afsāna-tarāz
shauq kuchh aur baḌhā aañkh ko hairānī de