ham ne jab koī bhī darvāza khulā paayā hai
kitnī guzrī huī bātoñ kā ḳhayāl aayā hai
qāfila dard kā Thahregā kahāñ ham-safaro
koī manzil hai na bastī na kahīñ saayā hai
ek sahmā huā sunsān galī kā nukkaḌ
shahr kī bhiiḌ meñ aksar mujhe yaad aayā hai
yuuñ liye phirtā huuñ TuuTe hue ḳhvāboñ kī salīb
ab yahī jaise mirī ziist kā sarmāya hai
shahr meñ ek bhī āvāra nahīñ ab ke baras
mausam-e-lāla-o-gul kaisī ḳhabar laayā hai
un kī TuuTī huī dīvār kā saaya 'āzar'
dhuup meñ kyuuñ mire hamrāh chalā aayā hai