Aagha Akbarabadi

tere jalal se KHurshid ko zawal hua

Aagha Akbarabadi

tire jalāl se ḳhurshīd ko zavāl huā
tire jamāl se mahtāb ko kamāl huā
ḳhirām-e-nāz meñ un ko ye kab ḳhayāl huā
ki dil kisī kā pisā koī pā.emāl huā
shabāb se tirī rañgat kā turfa haal huā
sapīd joḌā jo pahnā badan meñ laal huā
jo vasl-e-yār kī tadbīr kī visāl huā
ḳhayāl aish kā aayā to ik malāl huā
hilāl badar huā badar se hilāl huā
yahāñ kamāl kisī kā na be-zavāl huā
hazāroñ saikḌoñ paidā hue hue nāpaid
na ek dam bhī zamāne ko e'tidāl huā
raqīb qatl huā us kī teġh-e-abrū se
harām-zāda thā achchhā huā halāl huā
butoñ kā zulm kisī ne sunā na mahshar meñ
ḳhudā se bhī mirā jhagḌā na infisāl huā
kiye haiñ ḳhuuñ se kisī ke ye dast-o-pā rañgīn
shikār taaza koī aaj kyā halāl huā
jalāyā mujh ko to tujh ko bhī lag gayā dhabba
jigar pe daaġh mire ruḳh pe tere ḳhaal huā
jo maiñ junūñ meñ gayā sū-e-dasht ai 'āġhā'
to mujh ko dekh ke dīvāna har ġhazāl huā
Top Urdushayar.com