Kafeel Aazar Amrohvi

koi manzil nahin milti to Thahar jate hain

Kafeel Aazar Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1940
koī manzil nahīñ miltī to Thahar jaate haiñ
ashk āñkhoñ meñ musāfir kī tarah aate haiñ
kyuuñ tire hijr ke manzar pe sitam Dhāte haiñ
zaḳhm bhī dete haiñ aur ḳhvāb bhī dikhlāte haiñ
ham bhī in bachchoñ kī mānind koī pal jī leñ
ek sikka jo hathelī pe sajā laate haiñ
ye to har roz kā ma.amūl hai hairān ho kyuuñ
pyaas hī piite haiñ ham bhuuk hī ham khāte haiñ
har baḌā bachchoñ ko jiine kī duā detā hai
ham bhī shāyad isī virse kī sazā paate haiñ
sub.h le jaate haiñ ham apnā janāza ghar se
shaam ko phir ise kāñdhoñ pe uThā laate haiñ
shahr kī bhiiḌ meñ kyā ho isī ḳhātir 'āzar'
apnī pahchān ko ham ghar meñ hī chhoḌ aate haiñ
Top Urdushayar.com