mujh se ab tak ye gila hai mire ġham-ḳhvāroñ ko
kyuuñ chhuā maiñ ne tirī yaad ke añgāroñ ko
zehn o dil hashr ke sūraj kī tarah jalte haiñ
jab se chhoḌā hai tire shahr kī dīvāroñ ko
aaj bhī aap kī yādoñ ke muqaddas jhoñke
chheḌ jaate haiñ mohabbat ke gunahgāroñ ko
aarzū soch taḌap dard kasak ġham aañsū
ham se kyā kyā na milā hijr ke bāzāroñ ko
tere jalte hue hoñToñ kī harārat na milī
merī tanhā.ī ke bhīge hue ruḳhsāroñ ko
tum ko māhaul se ho jā.egī nafrat 'āzar'
itne nazdīk se dekhā na karo yāroñ ko