rāt-bhar chāñd kī galiyoñ meñ phirātī hai mujhe
zindagī kitne hasīñ ḳhvāb dikhātī hai mujhe
in dinoñ ishq kī fursat hī nahīñ hai varna
us darīche kī udāsī to bulātī hai mujhe
toḌ detā huuñ ki ye bhī kahīñ dhokā hī na ho
jaam meñ jab tirī sūrat nazar aatī hai mujhe
din isī farq ke jañgal meñ guzar jaatā hai
raat yādoñ kā vahī zahr pilātī hai mujhe
saath jis roz se chhūTā hai kisī kā 'āzar'
jaise kamre kī har ik chiiz Darātī hai mujhe