jaate jaate ye nishānī de gayā
vo mirī āñkhoñ meñ paanī de gayā
jāgte lamhoñ kī chādar oḌh kar
koī ḳhvāboñ ko javānī de gayā
mere hāthoñ se khilaune chhīn kar
mujh ko zaḳhmoñ kī kahānī de gayā
hal na thā mushkil kā koī us ke paas
sirf va.ade āsmānī de gayā
ḳhud se sharminda mujhe honā paḌā
aa.ina jab merā saanī de gayā
mujh ko 'āzar' ik fareb-e-ārzū
ḳhūb-sūrat zindagānī de gayā