ghaTāoñ kī udāsī pī rahā huuñ
maiñ ik gahrā samundar ban gayā huuñ
tirī yādoñ ke añgāroñ ko aksar
tasavvur ke laboñ se chūmtā huuñ
koī pahchānñe vaalā nahīñ hai
bhare bāzār meñ tanhā khaḌā huuñ
mirā qad kitnā ūñchā ho gayā hai
falak kī vus.atoñ ko nāptā huuñ
vo yuuñ mujh ko bhulānā chāhte haiñ
ki jaise maiñ bhī koī hādisa huuñ
badalte mausamoñ kī Diary se
tire baare meñ aksar pūchhtā huuñ
mire kamre meñ yādeñ so rahī haiñ
maiñ saḌkoñ par bhaTaktā phir rahā huuñ
ubharte Dūbte sūraj kā manzar
basoñ kī khiḌkiyoñ se dekhtā huuñ
kisī kī yaad ke pattoñ ko 'āzar'
havāoñ se bachā kar rakh rahā huuñ