Kafeel Aazar Amrohvi

aaj maine use nazdik se ja dekha hai

Kafeel Aazar Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1940
aaj maiñ ne use nazdīk se jā dekhā hai
vo darīcha to mire qad se bahut ūñchā hai
apne kamre ko añdheroñ se bharā paayā hai
tere baare meñ kabhī ġhaur se jab sochā hai
har tamannā ko rivāyat kī tarah toḌā hai
tab kahīñ jā ke zamāna mujhe raas aayā hai
tum ko shikva hai mire ahd-e-mohabbat se magar
tum ne paanī pe koī lafz kabhī likkhā hai
aisā bichhḌā ki milā hī nahīñ phir us kā pata
haa.e vo shaḳhs jo aksar mujhe yaad aatā hai
koī us shaḳhs ko apnā nahīñ kahtā 'āzar'
apne ghar meñ bhī vo ġhairoñ kī tarah rahtā hai
Top Urdushayar.com