muddat ke ba.ad is ne likhā mere naam ḳhat
merī shikāyatoñ se bharā hai tamām ḳhat
ghabrā na is qadar dil-e-betāb sabr kar
aatā hai koī roz meñ ab sub.h-o-shām ḳhat
likkhā huā hai ḳhaas tumhāre hī haath kā
pahchāntā hai ḳhuub tumhārā ġhulām ḳhat
tahrīr un kī siina pe rakh dījiyo mire
badle javāb-e-nāma ke aa.egā kaam ḳhat
likkhā hai ab na likkheñge ham koī ḳhat tujhe
ḳhat aayā merī maut kā laayā payām ḳhat
zaa.e.a na jā.egī tirī mehnat kisī tarah
qāsid ajūra detā huuñ chuTkī meñ thaam ḳhat
āshiq-navāziyāñ haiñ tabī.at meñ yaar kī
likkhā hai har mahīne meñ bhejo mudām ḳhat
tahrīr kar ke saikaḌoñ va.ade mukar ga.e
dikhlā.ūñgā huzūr ko roz-e-qayām ḳhat
ḳhat likh ke aaj Daak pe pahuñcheñge yaar ko
pahuñchā.egā hamārā payām-o-salām ḳhat
'āġhā' nisār hojiye in.aam dījiye
laayā hai un kā qāsid-e-sarsar-ḳhirām ḳhat