Kafeel Aazar Amrohvi

sukun thoDa sa paya dhup ke ThanDe makanon mein

Kafeel Aazar Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1940
sukūñ thoḌā sā paayā dhuup ke ThanDe makānoñ meñ
bahut jalne lagā thā jism barfīlī chaTānoñ meñ
kab aaoge ye ghar ne mujh se chalte vaqt pūchhā thā
yahī āvāz ab tak gūñjtī hai mere kānoñ meñ
janāza merī tanhā.ī kā le kar log jab nikle
maiñ ḳhud shāmil thā apnī zindagī ke nauha-ḳhvānoñ meñ
mirī mahrūmiyāñ jab pattharoñ ke shahr se guzrīñ
chhupāyā sar tirī yādoñ ke TuuTe sā.ebānoñ meñ
mujhe merī anā ke ḳhanjaroñ ne qatl kar Daalā
bahāna ye bhī ik bechārgī kā thā bahānoñ meñ
tamāsha ham bhī apnī bebasī kā dekh lete haiñ
tirī yādoñ ke phūloñ ko sajā kar phūl-dānoñ meñ
zamīñ pairoñ ke chhāle roz chun letī hai palkoñ se
taḳhayyul roz le uḌtā hai mujh ko āsmānoñ meñ
maiñ apne-āp se har dam ḳhafā rahtā huuñ yuuñ 'āzar'
purānī dushmanī ho jis tarah do ḳhāndānoñ meñ
Top Urdushayar.com