Kafeel Aazar Amrohvi

uski aankhon mein utar jaane ko ji chahta hai

Kafeel Aazar Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1940
us kī āñkhoñ meñ utar jaane ko jī chāhtā hai
shaam hotī hai to ghar jaane ko jī chāhtā hai
kisī kam-zarf ko bā-zarf agar kahnā paḌe
aise jiine se to mar jaane ko jī chāhtā hai
ek ik baat meñ sachchā.ī hai us kī lekin
apne va.adoñ se mukar jaane ko jī chāhtā hai
qarz TuuTe hue ḳhvāboñ kā adā ho jaa.e
zaat meñ apnī bikhar jaane ko jī chāhtā hai
apnī palkoñ pe sajā.e hue yādoñ ke diye
us kī nīndoñ se guzar jaane ko jī chāhtā hai
ek ujḌe hue vīrān khañDar meñ 'āzar'
nā-munāsib hai magar jaane ko jī chāhtā hai
Top Urdushayar.com