Kafeel Aazar Amrohvi

gum-shuda tanhaiyon ki raaz-dan achchhi to ho

Kafeel Aazar Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1940
gum-shuda tanhā.iyoñ kī rāz-dāñ achchhī to ho
maiñ yahāñ achchhā nahīñ huuñ tum vahāñ achchhī to ho
vaqt-e-ruḳhsat bhīge bhīge in darīchoñ kī qasam
nūr-paikar chāñd-sūrat gulistāñ achchhī to ho
thartharāte kāñpte hoñToñ ko aayā kuchh sukūñ
ai zabāñ rakhte hue bhī be-zabāñ achchhī to ho
dhuup ne jab aarzū ke jism ko nahlā diyā
ban ga.ī thiiñ tum vafā kā sā.ebāñ achchhī to ho
raat bhar chille vazīfe vo tahajjud aur fajr
mil gayā ab to sila ai merī maañ achchhī to ho
is zamāne meñ jab apnoñ kā bharosa ho fareb
sochtī rahtī ho maiñ jā.ūñ kahāñ achchhī to ho
jhilmilāte haiñ sitāre raat ko palkoñ pe jab
chāñd se suntī ho merī dāstāñ achchhī to ho
vo tumhārī ik sahelī ban ga.ī thī jo dulhan
us se ḳhat likh kar kabhī pūchhā nihāñ achchhī to ho
jab kahīñ jaao to likh denā mujhe apnā pata
pūchhne varna maiñ jā.ūñgā kahāñ achchhī to ho
tum sadā achchhī raho 'āzar' kī hai bas ye duā
fāsle sadiyoñ ke haiñ ab darmiyāñ achchhī to ho
Top Urdushayar.com