raat ke dasht meñ phailā huā sannāTā huuñ
apne saa.e se bichhaḌne kī sazā paatā huuñ
maiñ kabhī apne liye ġhair nahīñ thā itnā
ā.īna dekh ke kal raat bahut royā huuñ
tum se milne kī ḳhushī hai na bichhaḌne kā malāl
ḳhud-farebī ke ab is moḌ pe aa pahuñchā huuñ
jab se ik ḳhvāb kī ta.abīr milī hai mujh ko
maiñ har ik ḳhvāb kī ta.abīr se ghabrātā huuñ
koī miltā hī nahīñ aañkh milāne vaalā
maiñ tire shahr meñ sūraj kī tarah tanhā huuñ
zindagī kā koī maqsad hī nahīñ hai 'āzar'
aur maiñ huuñ ki zarūrat kī tarah zinda huuñ