kyā banā.e sāne-e-qudrat ne pyāre haath paañv
nuur ke sāñche meñ Dhāle haiñ tumhāre haath paañv
zo.af-e-pīrī chhā gayā zor-e-javānī chal basā
ab chaleñ batlā.īye kis ke sahāre haath paañv
machhliyāñ baazū pe ubhrīñ sāq-e-pā sham.eñ banīñ
ḳhuub sāhab ne nikāle ab to baare haath paañv
fauq hiire se nahīñ hai merī jaañ yāqūt ko
kyuuñ rañge haiñ aap ne mehñdī se saare haath paañv
mānī-o-bahzād ne mulk-e-adam kī raah lī
vo kamar mutlaq na paa.ī laakh maare haath paañv
ham na kahte the ki har dam shoḳhiyāñ achchhī nahīñ
āḳhirash mehñdī ne bāñdhe lo tumhāre haath paañv
hāthā-pā.ī meñ bhī ham chūke na apne kaam se
vasl kī shab yaar ne kyā kyā na maare haath paañv
hai za.īfī meñ bhī ham ko naujavānī kā ḳhayāl
dil nahīñ haarā hai ab tak go ki haare haath paañv
ġhair kī dhamkī se ham Dar jaa.eñ ye mumkin nahīñ
aise buude bhī nahīñ haiñ kuchh hamāre haath paañv
ma.adan-e-yāqūt ko dariyā banāyā aap ne
mehñdī mal kar dho.e jab dariyā kināre haath paañv
is buḌhāpe meñ bhī 'āġhā' so javāñ meñ ek hai
go za.īfī aa ga.ī par haiñ karāre haath paañv