nigāhoñ meñ iqrār saare hue haiñ
ham un ke hue vo hamāre hue haiñ
jin ā.ankhoñ meñ aañsū chakāre hue haiñ
ham un kī nigāhoñ ke maare hue haiñ
na ḳhaTkeñ kaho kis tarah tīr-e-mizhgāñ
jigar par hamāre utāre hue haiñ
jhaḌe jo tirī kafsh-e-zarrīñ ke zarre
falak par vo jā kar sayyāre hue haiñ
abas jaan detī hai bulbul guloñ par
ye us ruḳh ke sadqe utāre hue haiñ
kis andāz se band-e-mahram kase haiñ
ki joban ko un ke ubhāre hue haiñ
yaqīñ hai balā ho koī aaj nāzil
vo bāloñ ko apne sañvāre hue haiñ
ḳhabar-dār hāthoñ se jaane na paa.eñ
ye duzd-e-hinā maal maare hue haiñ
kahe detī haiñ saaf āñkheñ tumhārī
kisī ġhair se kuchh ishāre hue haiñ
maiñ mañjdhār meñ Dūbtā huuñ ilāhī
vo dil le ke merā kināre hue haiñ
hamesha jo bharte the dam dostī kā
vahī dushman-e-jāñ hamāre hue haiñ
nazar kar duā par ḳhudāvand-e-ālam
ki ham haath apne pasāre hue haiñ
bhalā ġhair kī is meñ hai kyā shikāyat
vahī dushman-e-jāñ hamāre hue haiñ
unheñ ham ne nahlā diyā de ke chhīñTeñ
ajab lutf dariyā kināre hue haiñ
ḳhabar āmad-e-gul kī shāyad hai 'āġhā'
chaman saare jhāḌe bahāre hue haiñ